Wash green chilies and garlic cloves, dry them properly.
Cut green chilies from center with the help of kitchen scissor.
Add garlic and salt in green chilies and give it a good mix and leave for half an hour.
In grinder add cumin seeds, nigella seeds, fenugreek seeds, mustard seeds, fennel seeds and sugar and grind it until all ingredients are crushed.
Achar masala is ready. (Don’t make a fine powder)
In vinegar, add turmeric, ginger garlic paste and achar masala and mix well.
Heat oil in wok, add green chilies and garlic cloves (coated with salt), saute on high flame for 5 minutes.
Now add vinegar mixture and cook for 5-7 minutes until oil comes on surface.
Serve and enjoy.
Instant pickle should be made in small batches. 1/2 kg or 1 kg maximum.
Pickle spice mix can be made in large quantity and saved for used whenever required.
You can store at room temperature or refrigerate.
Always use clean and dry jars.
Don’t use wet or used spoon.
Don't eat directly from the jar using hand as hand.
Hari mirch aur lehsan ko dho ker ache tarhan sukha lein.
Hari mirch ko kitchen scissor ki madad sa bech mein sa cut ker lein.
Ab hari mirch mein lehsan aur namak dal ker ache tarhan mix ker lein aur adha ghantay kliya chor dein.
Grinder mein zeera,kolonji,methi dana,rai,sauf aur cheeni shamil ker k itna grind karein k tamam masala crush ho jaye.Achar masala tayyar hai.(powder nahi bananana hai)
Sirka mein haldee,adrak lehsan paste aur achar masala dal ker ache tarhan mix ker lein.
Karhai mein oil garam karein,ab is mein hari mirchein aur lehsan (coated with salt) shamil ker k tez ancch per 5 minute kliya saute karein.
Ab is mein sirka mixture dal ker 5-7 minutes kliya paka lein yahan tak oil upper ajaye.
Instant pickle hamesha kam quantity main banana ziada behtar rehta hai. 1/2 kg se 1 kg jo jald hi istemal hojaye.
Achar ka masala mixture banakar rakh len aur jab achar banana ho tu istemal karlen.
App is achar ko room temperature mein store ker sakte han ya phir refrigerate ker lein.
Hamasha saaf aur sukha jar istamal karein.
Geela or jhoota chamcha istamal na karein.
Achar hath se jar main se na nikalen, spoobn ka istemal karen.