In a pan add oil and butter. When hot add cumin and fry. Now add onion and fry till light gold.
Now add GGP, green chilies, tomatoes, and all the spices and mix well, when water 1/4th left add lentil and kidney beans and mix and mash till lentil and beans breaks.
Now add water according to desired consistency and keep mashing with the help of spoon till mix well.
Add cream, ginger and fenugreek leaves and simmer for 2-3 minutes.
Serve with Naan Or Zeera Rice.
Please note that for creamy texture, you can grind tomatoes and onion mixture and boil lentils until very soft.
Pan main makhan aur oil shamil karein aur jab garam hojaye to is main piyaz shamil karein aur halka sunhera karlein.
Ab is main GGP, hari mirch, Tamatar aur tamam masala daal ke bhoonay. Jab 1/4th Pani reh jaye to is main daal aur lobia/rajma daal kea chi
arah mash karein ke daal aur lobia tootne lag jaye.
Is main apni marzi ki consistency ke mutabiq paani shamil karein aur saath saath mix karte rahein.
Akhir main cream, adrak aur kasuri methi daal ke 2-3 min ke liye dump e rakhein.
Naan ya Zeera wala chawal ke saath pesh karein.
Agar daal buhut ziada smooth and creamy chahiye tu tamatar aur pyaz ke mixture ko ek dafa grind karke wapis cholhe pe le aaye. Daal aur lobia ko bhi apni marzi ke hisab se ziada boil karlen.