In pan heat oil, add onion and fenugreek seeds fry till light gold. Add tomatoes and when tender add GGP, chicken and red lentils and mix well. Add crushed chilies, coriander powder, turmeric, cumin powder, red chili powder and black pepper. Mix well, add water and salt and cover the lid till chicken is about to done.
Check occasionally.
When only little bit water left add chickpeas and keep mixing till oil leaves in pan. This may takes 5-7 mins.
Add all spice powder, green chilies, ginger, kasuri methi and coriander and simmer for 3-4 mins.
Serve hot with Nans OR Boiled Rice.
Pan main ghee garam karein, is main piyaz halki sunheri fry karlein sath main methi dana bhi shamil karein. Golden hone lage to tamatar daal ke bhoon lein. Tamatar naram hojaye to GGP, murghi aur lal masoor shamil karein. Jab murghi ka rang tabdeel hojaye to is main lal mirch, kuti mirch, kali mirch, dhania powder zeera, haldi daal kar mix karein. Akhir main pani aur namak daal dhakan dhaank dein.
Beech main check karlein.
Jab pani khushk hone lage to is main chanay daal kar mix karein.
Akhir main garam masala, hari mirch, kasuri methi aur adrak daal ke 2-3 min ke liye dump e rakh dein.
Naan ya ublay hue chawal ke serve karein.